Categories
User: Emran khan sult
Meri Shayari Kabhi Nahi Hoti Mere
Liye, Main Dard Likhta Hoon Duniya
Walo Ke Liye, Aur Use Lagta Hai
Main Uspe Likhta Hoon, Chal Hat
Pagli Itna Time Kah Hai Tere Liye.
Tamanna Hain Mere Dil Ki Sanam Ek Baar
Ho Jaye, Ki Jaate Jaate Duniya Se Tera
Deedar Ho Jaye, Mohabbat Main Bhi Karta
Hoon Mohabbat Tum Bhi Karti Ho Zamane
Se Kya Hain Darna Chalo Izhaar Ho Jaye.
Sochta Hoon Tujhe Sochna Chod Du,
Teri Tasveer Ko Dekhna Chod Du,
Ab Tujhe Yaad Karne Se Kya Faida,
Is Tarah Raat Bhar Jaagna Chod Du.
अनेकों प्रसन ऐसे है जो दोहराए नहीं जाते, बहुत उत्तर
ऐसे भी है जो बतलाए नहीं जाते, मेरी ख्वाइश है
तुमको चांद तारे तोड़ के दे दू मगर चादर से बाहर
पांव फैलाए नहीं जाते और यही सोचकर हमें अपने दिल
में जगा दे देना की घर आए हुए मेहमान लौटाएं नहीं जाते.
Khoon Bahe Na Ab Apno Ka Ab Koi Dangga
Ho, Ek Hath Me Aab E Jum Jum Ek Hath
Me Ganga Ho, Jisko Jitna Pyar Hain
Desh Se Wo Hi Jaane Lekin, Apna To
Armaan Yahi Hain Mera Kafan Tiranga Ho.
Kabhi Aagaz Likhti Hain Kabhi Anjaam Likhti
Hain, Wo Ek Allhar Ki Ab Yahi Paigaam
Likhti Hain, Saheli Uski Usse Puchti
Hain Kya Hain Chahat To, Wo Sharma
Kar Hatheli Par Hamara Naam Likhti Hain.
Har Ek Jarre Me Main Apni Nisani Chod
Jauga, Fazaao Me Mohabbat Ki Rawaani
Chod Jauga, Bhulaao Ge Kaah Tak Tum
Meri Yaadein Meri Baatein, Main Dariya
Hoon Teri Ankhon Me Pani Chod Jauga.
Rafu Kyon Kar Rahe Ho Jab Ise Phir Chaak
Hona Hain, Ye Mitti Ka Badan Mitti Ke
Hi Khuraak Hona Hain Guroor E Husn
Me Itna Na Dubo Ek Din Aakhir Hame Bhi
Khaak Hona Hain Tumhe Bhi Khaak Hona Hain.
Na Jane Khata Main Ab Yahi Baar Baar
Karta Hoon, Kisi Masoom Si Pagli
Se Ankhe Chaar Karta Hoon, Main
Likhta Firta Hoon Duniya Me Yaaro
Pyar Na Karna Lekin Khud Kyon
Kisi Se Tootkar Main Pyar Karta Hoon.
Meri Khushbu Sambhaal Kar
Rakhna, Dil Pe Kabu
Sambhaal Ke Karna, Main
Shayri Rokar Likhta Hoon
Mere Ansu Sambhaal Ke Rakhna.
Kahani Jo Bhula Baithe The Hum Usko
Yaad Kya Karte, Hum Is Ujde Huye
Dil Ko Bhala Aabaad Kya Karte,
Kisi Ne Kahe Diya Humse Bade
Masoom Lafzo Me Nahi The Tum To
Hum Aakar Haraura Bazaar Kya Karte.