Categories
User: Natasha
Iss Dil Ki Daastaan Bhi Badi Ajeeb
Hoti Hai, Badi Mushkil Se Ise
Khushi Naseeb Hoti Hai, Kisi Ke
Paas Aane Par Khushi Ho Na Ho, Par
Door Jaane Par Badi Takleef Hoti Hai.
Bade Hi Ajeeb Hain Ye Zindagi Ke
Raaste, Anjane Mod Par Kuchh Log
Apne Ban Jate Hain, Milne Ki
Khushi Dein Ya Na Dein, Magar
Bichadne Ka Gam Zaroor De Jate Hain.
Chalte-Chalte Akele Ab Thak Gaye
Hum, Jo Manzil Ko Jaye Wo
Dagar Chahiye, Tanhayi Ka
Bojh Ab Aur UthTa Nahi, Ab
Humko Bhi Ek HumSafar Chahiye,
Hum Chaahe To Bhi Tujhe Bhula Nahi
Sakte, Teri Yaadon Se Daaman Chura
Nahi Sakte, Tere Bina Jeena Ek
Pal Bhi Mumkin Nahi, Tumhein
Chahte Hain Itna Ki Bata Nahi Sakte.
Hamein Na Mohabbat Mili Na Pyar
Mila, Humko Jo Bhi Mila
Bewafa Yaar Mila, Apni To
Ban Gayi Tamasha Zindagi, Har
Koyi Maksad Ka Talabgaar Mila.
Haalat Ke Kadamo Par Sikandar Nahi
Jhukte, Toote Huye Taare Kabhi
Zamin Par Nahi Girte, Bade Shauk Se
Girti Hai Lahrein Samundar Mein, Par
Samundar Kabhi Lahron Mein Nahi Girte.
Mere Dushman Bhi Mere Mureed Hain
Shayad, Waqt-Bewaqt Mera Naam
Liya Karte Hain, Meri Gali Se
Gujarte Hain Chhupa Ke Khanzar, Ru-
Ba-Ru Hone Par Salaam Kiya Karte Hain.
Kabhi Lafz Bhool Jaaun Kabhi Baat
Bhool Jaaun, Tujhe Iss Kadar Chahun
Ki Apni Jaat Bhool Jaaun, Kabhi Uthh
Ke Tere Paas Se Jo Main Chal Dun,
Jaate Huye Khud Ko Tere Paas Bhool Jaaun.
Wo Taaro Ki Tarah Raat Bhar Chamkte
Rahe, Hum Chaand Se Tanha Safar
Karte Rahe, Wo To Beete Waqt
The Unhein Aana Na Tha, Hum Yoon
Hi Saari Raat Karbat Badalte Rahe.
Ye Sach Hai Ki Hum Mohabbat Se Darte
Hain, Kyun Ki Ye Pyar Dil Ko
Bahut Tadpata Hai, Aankh Mein
Aansoo To Hum Chhupa Sakte Hain,
Dard-E-Dil Duniya Ko Pata Chal Jata Hai.
Ye Zindagi Hasin Hai Iss Se Pyar
Karo, Abhi Hai Raat To Subah Ka
Intezar Karo, Wo Pal Bhi Ayega
Jiski Khwahish Hai Aapko, Rab Par
Rakho Bharosa Waqt Par Aitbar Karo.