Categories
User: Natasha
Chal Mere Hum-Nashin Ab Kahin Aur
Chal, Iss Chaman Mein Ab Apna
Gujaara Nahi, Baat Hoti
Gulon Tak To Seh Lete Hum, Ab
To Kaanton Pe Bhi Haq Humara Nahi.
Kaash Usey Chahne Ka Armaan Na Hota,
Main Hosh Mein Rehte Huye
Anjaan Na Hota, Na Pyar Hota
Kisi Patthar Dil Se Humko, Ya
Fir Koi Patthar Dil Insaan Na Hota.
Tohfe Mein Mat Gulab Lekar Aana,
Meri Kabr Par Mat Chirag Lekar
Aana, Bahut Pyasa Hoon Barson Se
Main, Jab Bhi Aana Sharab Lekar Aana.
Raah Chalte Tu Auron Ka Daman Thaam
Le, Magar Mere Pyar Ko Bhi Tu
Thoda Pehchan Le, Kitna Intezar
Kiya Hai Tere Ishq Mein Maine, Jara
Iss Dil Ki Betaabi Ko Bhi Tu Jaan Le.
Kaam Karo Aisa Ki Ek Pehchaan Ban
Jaye, Har Kadam Aisa Chalo Ki
Nishan Ban Jaye, Yehan Zindagi
To Har Koi Kaat Leta Hai, Zindagi
Jiyo Iss Kadar Ki Misaal Ban Jaye.
Aankhon Mein Aansuon Ki Lakeer Ban
Gayi, Jaisi Chaahi Thi Waisi Hi
Takdeer Ban Gayi, Humne To Chalayi
Thi Ret Mein Ungliyan, Gaur
Se Dekha To Aapki Tasvir Ban Gayi.
Aisa Nahi Ki Tere Baad Ahel-E-Qaram
Nahi Mile, Tujh Sa Nahi Mila Koyi
Log To Kam Nahi Mile, Ek Teri Judaai
Ke Dard Ki Baat Aur Hai, Jinko Na Seh
Sake Ye Dil, Aise To Gham Nahi Mile.
Dil Mein Aap Ho Aur Koyi Khaas Kaise
Hoga, Yaadon Mein Aapke Siwa Koyi
Paas Kaise Hoga, Hichkiyan
Kehti Hain Aap Yaad Karte Ho, Par
Bologe Nahi To Mujhe Ehsaas Kaise Hoga.
Ek Din Hum Bhi Kafan Odh Jayenge,
Sab Rishte Iss Jameen Se Tod
Jayenge, Jitna Jee Chaahe
Sataa Lo Mujhko, Ek Din
Rota Huya Sabko Chhod Jayenge.
Mujhko Ab Tujh Se Mohabbat Nahi Rahi,
Ai Zindagi Teri Bhi Mujhe Jaroorat
Nahi Rahi, Bujh Gaye Ab Uske
Intezaar Ke Wo Deeye, Kahin
Aas-Paas Bhi Uski Aahat Nahi Rahi.
Teri Duniya Mein Jeene Se To Behtar Hai Ki
Mar Jayein, Wohi Aansoo, Wohi Aahein, Wohi
Gham Hai Jidhar Jayein, Koi To Aisa Ghar
Hota Jahan Se Pyar Mil Jata, Wahi Begaane
Chehare Hain Kahan Jayein Kidhar Jayein.