Categories
User: Natasha
Mohabbat Ek Ehsaason Ki Paavan Si Kahani
Hai, Kabhi Kabira Diwana Tha Kabhi
Meera Diwani Hai, Yahan Sab Log Kehte
Hain Meri Aankhon Mein Ansoon Hain, Jo Tu
Samjhe To Moti Hai Jo Na Samjhe To Paani Hai.
Roz Taaron Ki Numaaish Mein Khalal
Padta Hai, Chaand Pagal Hai Andhere
Mein Nikal Padta Hai, Roz Patthar Ki
Himayat Mein Ghazal Likhte Hain, Roz
Sheeshon Se Koi Kaam Nikal Padta Hai.
Kabhi Pehloo Mein Aao To Batayenge
Tumhein, Haal-E-Dil Apna Tamaam
Sunayenge Tumhein, Kaati Hain Akele
Kaise Humne Tanhayi Ki Raatein, Har
Uss Raat Ki Tadap Dikhayenge Tumhein.
Os Ki Boondein Phoolon Ko Bhiga Rahi
Hain, Hawa Ki Lehrein Ek Taazgi
Jaga Rahi Hain, Aaiye Aur Ho Jayiye
Aap Bhi Ismein Shamil, Ek Pyari Si
Subah Aapko Bula Rahi Hai. Good Morning!
Haal-E-Dil Apna Kya Sunaayein Aapko,
Gam Se Baatein Karna Aadat Hai Humari,
Log Marte Hain Sirf Ek Baar Sanam,
Roj Pal-Pal Marna Kismat Hai Humari.
Mere Wazood Mein Kaash Tu Utar
Jaye, Main Dekhun Aayina Aur
Tu Nazar Aaye, Tu Ho Samne Aur
Waqt Thhehar Jaaye, Aur Tujhe
Dekhte Huye Zindagi Gujar Jaye.
Wo Waqt Wo Lamhe Kuchh Ajeeb Honge,
Duniya Mein Hum Sabse Khush
Naseeb Honge, Dur Se Jab Itna
Yaad Karte Hain Aapko, Kya
Hoga Jab Aap Humare Kareeb Honge.
Zindagi Ke Toofanon Ka Saahil Hai
Dosti, Dil Ke Armaanon Ki
Manzil Hai Dosti, Zindagi Bhi
Ban Jayegi Apni To Jannat,
Agar Maut Aane Tak Saath De Dosti.
Zindagi Ke Zehar Ko Yoon Has Ke Pee Rahe
Hain, Tere Pyar Bina Yoon Hi Zindagi
Jee Rahe Hain, Akelepan Se To Ab
Darr Nahi Lagta Humein, Tere Jaane
Ke Baad Yoon Hi Tanha Jee Rahe Hain.
Mujhe Har Pal Tera Intezaar Rehta
Hai, Har Lamha Mujhe Tera Ehsaas
Rehta Hai, Tujh Bin Dhadkane
Ruk Si Jaati Hain, Ki Tu
Dil Mein Dhadkan Banke Rehta Hai.
Alfaz Ki Shakl Mein Ehsaas Likha
Jata Hai, Yahan Par Paani Ko Pyaas
Likha Jata Hai, Mere Jazbat Se
Wakif Hai Meri Kalam Bhi, Pyar
Likhu To Tera Naam Likha Jata Hai.