Categories
User: Silent_Love
Tu Ajeeth Pe Marti Thi Aur Jaan Chidikti
Thi, Tu Uski Deewani Thi Woh Tera
Deewana Tha, Kyun Hum Se Khafa
Ho Tum Kyun Hum Se Juda Ho Tum, Kya
Jurm Kiya Hum Ne Itna Toh Batana Tha.
Khayi Thi Kasam Tu Ne Mere Saath Me
Rehne Ki, Har Waqt Tere Lab Pe Mera
Hi Tarana Tha, Nafrat Se Bhari
Nazre Meri Jaan Hi Le Baithi, Tukdre
Hi Kiye Dil Ke Kya Khub Nishana Tha.
Kyun Bhul Gaye Hum Ko Rishta To Purana
Tha, Ek Yeh Bhi Zamana Hai Ek Woh
Bhi Zamana Tha, Aankhon Me
Basaya Tha Seene Se Lagaya Tha, Kyun
Pyar Kiya Hum Ko Jab Chhod Ke Jana Tha.
Dastan E Ghame Dil Unko Sunayee Na
Gayi, Baat Bigdree Thi Kuch Aisi
Ke Banayee Na Gayi, Sab Ko Hum Bhul
Gaye Josh E Junoon Me Lekin, Ek Teri
Yaad Thi Joh Dil Se Bhulayee Na Gayi.
Hume Koi Gam Nahi Tha Ashiqui Se
Pehle, Na Thi Koyi Dushmani Tere
Dosti Se Pehle, Hai Yeh Meri Badnasibi
Tera Kya Kasur Is Me, Tere Gham
Ne Maar Dala Mujhe Zindagi Se Pehle.
Aa Ke Mehfil Me Bade Logon Ki Naadim
Hun Main, Hukum De Kya Main Karun
Aap Ka Khaadim Hun Main, Lab Pe
Inkaar Nahi Aap Maange Toh Sahi
Jaan Ka Dun Nazrana, Khel Ke Tod Diya
Tod Ke Chod Diya Yeh Hai Mera Afsana.
Ankh Me Sare Zamane Ki Khatakta Hi
Raha, Gard Awaara Ki Tarah Bhatakta
Hi Raha, Udte Patto Ki Tarah Main
Toh Jis Simt Chala Sath Chala Viraana,
Jo Mila Uss Ne Mere Dil Ko Khilona Jana.
Maine Har Dard Ko Seene Se Lagana Chaha,
Khud Sitam Seh Ke Zamane Ko Hasana
Chaha, Phir Bhi Duniya Hai Khafa
Mera Dil Meri Wafa Koi Nahi Pehchana,
Jo Mila Uss Ne Mere Dil Ko Khilona Jana.
Kya Kahun Aye Duniya Waalon Kya Hun
Main, Dekh Lo Mujhko Ki Tum Jaisa
Hun Main, Jo Mila Uss Ne Mere Dil
Ko Khilona Jana, Khel Ke Tod Diya
Tod Ke Chod Diya Yeh Hai Mera Afsana.
Mere Dil Ne Tujhe Yun Bhulaya
Nahi, Koyi Tujhsa Zamane
Me Paya Nahi, Jisko Chaha
Tha Usne Hi Dhoka Diya,
Pyar Karna Hume Raas Aaya Nahi.
Tujhse Badhkar Mujhe Koyi Pyara
Nahi, Main Tujhe Chod Dun Yeh
Gawara Nahi, Teri Chahat Ne
Hi Mujhko Pagal Kiya, Tu
Ne Hi Mujhko Dil Me Utara Nahi.