Categories
User: Anjaan
Kissi Ko Mohabbat Ki Sachai Maar
Dalegi, Kissi Ko Mohabbat Ki
Gehrai Maar Dalegi, Kar Ke
Mohabbat Koi Nahi Bachega, Aur
Jo Bachega Usse Tanhai Maar Dalegi!.
Ek Wo Hai Jo Sada Milte Hain Gairon Ki
Tarah, Aur Ek Hum Hain Jo Unki Ahat
Bhi Pehchan Lete Hain Apno Ki Tarah,
Waabasta Hongi Kuch Umeedein Aapse,
Umeedon Ka Chirag Bujhane Ka Shukriya.
Ye Mohabbat Mukkadar Hai, Koi Khwab
Nahi, Ye Wo Ada Hain Jisme Sab
Kaamyab Nahi, Jinhe Panaah
Mili Unhe Unguliyon Par Gin
Lo, Jo Barbaad Hue Unka Hisaab Nahi.
Dil Ki Hasrat Zuban Pe Aane Lagi
Tune Dekha Aur Zindagi Muskurane
Lagi Ye Ishq Ki Inteha Thi Ya
Deewangi Meri Har Soorat
Me Teri Soorat Nazar Aane Lagi.
Har Nayi Subah Ka Naya Nazara,
Thandi Hawa Leke Aayi Paigaam
Hamara Jaago, Utho
Taiyaar Ho Jao, Khushiyo Se
Bhara Rahe Aaj Ka Din Tumhara.
Zanaza Mera Uth Raha Tha, Fir
Be Takleef Thi Unko Aane Mein,
Bewafa Ghar Mein
Baithe Puch Rahe The, Or
Kitni Dair Hai Use Dafnane Mein.
Humare Muskurane Ki Wajah Tum
Ho, Hamare Zindagi Ka Matlab
Tum Ho, Agar Chor Diya Saath
Hamara To Samajh Lena Ke
Hamari Maut Ki Waja Bhi Tum Ho.
Ho Sake To Mujhe Kuchh Khaas
Rakhna, Dosti Ka Itna To Ehsas
Rakhna, Apki Dua Se Milegi
Khusiya Mujhe, Is Liye Hum Kehte
Hai, Dua Me Hame Yaad Rakhna.
Rishte Ki Haseen Surat Ho Aap,
Hamare Dil Ki Zarurat Ho Aap
Khubsurat To Phul Bhi
Bahot Hai, Par Hamare Liye
Phul Se Bhi Khubsurat Ho Aap.
Dil Pe Kya Gujri Wo Kya Jane Pyar
Kise Kahete Hai Wo Nadan Kya
Jane Hawa Ke Sath Ud Gya
Ghar Is Parinde Ka Kaise Bana
Tha Ghosla Wo Tufan Kya Jane.
Sachai Zindagi Ko Aaina Dekhati
Hai, Yado Se Hamesha Aankhe Bhar
Aati Hai, Gir Kar Kabhi Mayus
Na Hona Mere Dost, Kyuki Thokre
Hi Insan Ko Chlana Sikhati Hai.