Categories
User: Sam Khan
Ab Shehr-E-Jaan Bachane Ki Khwahish
Nahi Rahi, Phir Se Anaa Ganwane Ki
Khwahish Nahi Rahi, Ab Tum Palat
Aane Ki Khwahish Ko Maar Do, Ab
Tum Ko Aazmane Ki Khwahish Nahi Rahi.
Hame Zakhmon Ko Aankhon Se Dhundhna
Nahi Aata, Mil Jaye Jo Khushi To
Use Khona Nahi Aata, Seh Lete Hain
Har Gham Muskuraa Kar Hum, Aur
Log Kehte Hain Hamein Rona Nahi Aata.
Zakham Dene Wala To Is Baat Se
Anjan Hai, Par Us Se Mila Hua
Dard Hamare Paas Hai, Chubne Par
Kitni Taklif Hoti Hai, Kya Kaanch
Ke Us Tukde Ko Bhi Iska Ehsas Hai.
Zindgi Mein Hamme Kabhi Kuchh
Chaha Hi Nahi, Jis Se Chaha Us
Se Kabhi Paya Hi Nahi, Jis Se
Paya Use Yun Kho Diya Jaise,
Zindagi Me Kabhi Koi Aaya Hi Nahi.
Hum To Tere Dil Ki Mehfil Sajane
Aaye The, Teri Kasam Tujhe Apna
Banane Aaye The, Kis Baat Ki
Saza Di Tune Ham Ko, Bewafa Hum
To Tere Dard Ko Apnane Aaye The.
In Hawaon Me Apni Khushboo
Chod Gaya Koi, Yun Hame Chu
Ke Chala Gaya Koi, Tanhai Aur
Andhere Me Khush The Hum,
Phir Intezar Ki Wajah De Gaya Koi.
Tute Huye Patte Ka Dard Uski Shakh
Se Poochiye, Dharti Ki Pyaas
Barsaat Se Poochiye, Kitna
Yaad Karte Hain Hum Aapko, Ye
Humse Nahi Khud Apne Aap Se Poochiye.
Woh Kareeb Hi Nahi Aaye To Izhar
Kya Karte, Khud Bane Nishana
To Shikar Kya Karte, Mar Gaye
Par Khuli Rahi Aankhein Is Se
Zyada Kisi Ka Intezar Kya Karte.
Chand Tare Zameen Par Lane Ki
Zid Thi, Hamein Unko Apna Banane
Ki Zid Thi, Achcha Hua Woh Pehle
Hi Ho Gayi Bewafa, Warna Unhe
Pane Ko Zamana Jalane Ki Zid Thi.
Mohabbat, Chahat, Wafa Kuchh
Bhi Nahi, Zindagi Gham Ke Siva
Kuch Bhi Nahi, Tumhare Pass
Mere Siwa Sub Kuchh Hai, Mere
Pass Tumhare Siwa Kuchh Bhi Nahi.
Leke Hum Dusron Ki Hansi Kya Karein,
Jo Apni Nahi Woh Khushi Kya
Karein, Tanha Jeene Se Behatar
Hai Mar Jayein Hum, Jab Saath Tum
Nahi To Zindagi Jee Kar Kya Karein.