Categories
User: Pritam
Chaand Aur Sitare Launga Teri Khatir Tum Jo
Kaho Main Woh Karunga Teri Khatir Chalo Ye
Bhi Tumse Waada Hai Chahunga Main Tumhe
Bepanah Jitna Sataao Ya Rulaao Tum Jaunga
Na Kahi Rooth Ke Aaunga Aaunga Main
Phir Tere Hi Paas Kyaa Dogi Mere Hathon
Me Bolo Tum Apna Hath? Happy Propose Day.
Main Sidhe Sidhe Dhang Se Kehta Hu
Apni Baat, Ek Ghar Basaana Chahta
Hu Main Tumhare Saath, Kya Dogi
Mere Hathon Me Bolo Tum Apna
Hath? Happy Propose Day Sweetheart.
Saza Kaisi Mili Humko Tujhse Dil Lagane
Ki, Rona Hi Pada Jab Koshish Ki
Muskurane Ki, Kaun Banega Yaha Meri
Dard Bhari Raton Ka Humraz, Dard Hi
Mila Hai Jo Tune Koshish Ki Aajmane Ki.
Dard Se Haath Na Milate Toh Aur Kya
Karte, Gam Mein Aansu Na Bahate
Toh Aur Kya Karte, Usne Mangi
Thi Humse Roshni Ki Duaa, Hum
Apna Dil Na Jalate To Aur Kya Karte.
Mohabbat Ka Mere Safar Aakhiri
Hai, Yeh Kagaz Kalam Yeh Ghazal
Aakhiri Hai, Main Phir Na
Milunga Kahi Dhoondh Lena, Tere
Dard Ka Ab Yeh Asar Aakhiri Hai.
Dil Mein Jo Dard Hai Woh Dard Kise
Batayein, Hanste Huye Yeh Zakhm
Kise Dikhayein, Kehti Hai Yeh
Duniya Humein Khushnashib, Magar
Iss Naseeb Ki Dastaan Kise Sunayein.
Ek Naya Dard Mere Dil Mein Jaga Kar
Chala Gaya, Kal Phir Woh Mere Shehar
Mein Aakar Chala Gaya, Jise Dundhte
Rahe Hum Logon Ki Bheed Mein, Mujh Se
Woh Apne Aapko Chhupa Kar Chala Gaya.
Log Pochte He Kyu Surka Hen Tumhari
Aankhen, Hans Ke Keh Deti Hon
Raat So Na Saki, Lakh Chahon
Bhi Magar Yeh Keh Na Sakon, Raat
Rone Ki Hasrat Thi Magar Ro Na Saki.
Bewafa To Woh Khud Thi, Par Ilzaam Kisi
Aur Ko Deti Hai, Pehle Naam Tha Mera Us
ke Hothon Par, Ab Woh Naam Kisi Aur Ka
Leti Hai, Kabhi Leti Thi Wada Mujhse Sath Na
Chorne Ka, Ab Yehi Wada Kisi Aur Se Leti Hai
Lage He Ilzaam Dil Pe Jo Mujh Ko
Rulate Hai, Kisi Ki Berukhi Aur
Kisi Aur Ko Satate He, Dil Tod Ke
Mera Wo Badi Asani Se Keh Gaye Alvida,
Lekin Halat Mujhe Bewafa Thehrate Hai.
Chaha Tha Jise Use Bhulaya Na Gaya,
Zakhm Dil Ka Logo Se Chupaya Na
Gaya, Bewafai Ke Baad Bhi Itna Pyar
Karta Hai Dil Unse, Ki Bewafai Ka
Ilzaam Bhi Uss Par Lagaya Na Gaya.