Categories
User: Dilse
Zindagi Har Pal Kuchh Khaas Nahi
Hoti, Phoolo Ki Khushboo
Hamesha Paas Nahi Hoti, Milna
Humari Takdeer Mein Tha Varna,
Itni Pyari Dosti Ittefaaq Nahi Hoti.
Mujhko To Dard-E-Dil Ka Mazaa Yaad
Aa Gaya, Tum Kyun Huye Udaas Tumhein
Kya Yaad Aa Gaya? Kahne Ko Zindagi
Thi Bahut Mukhtsar Magar, Kuchh
Yoon Basar Huyi Ki Khuda Yaad Aa Gaya.
Intezaar Rehta Hai Har Shaam
Tera, Yaadein Katti Hain Le
Le Kar Naam Tera, Muddat Se
Baithe Hain Ye Aas Paale, Ki
Kabhi To Aayega Koyi Paigam Tera.
Wo Silsile Wo Shauq Wo Gurbat Na
Rahi, Fir Yoon Hua Ke Dard Mein
Shiddat Na Rahi, Apni Zindagi
Mein Ho Gaye Masroof Wo Itna, Ki
Hum Ko Yaad Karne Ki Fursat Na Rahi.
Sukh-Dukh Ki Dhoop-Chhaanv Se Aage
Nikal Ke Dekh, Inn Khwaishon Ke
Gaaon Se Aage Nikal Ke Dekh, Toofan
Kya Dubayega Teri Kashti Ko, Aandhion
Ki Hawaaon Se Aage Nikal Ke Dekh.
Aaj Ki Raat... Jo Meri Tarah Tanha
Hai, Main Kisi Tarah Gujarunga
Chala Jaaunga, Tum Pareshan Na
Ho Baab-E-Karam-Wa Na Karo, Aur
Kuchh Der Pukarunga Chala Jaaunga.
Koi Samjhta Nahi Mujhe Iska Gham Nahi
Karta, Par Tere Najarandaaz Karne
Muskura Deta Hoon, Meri Hansi Mein
Chhupe Dard Ko Mahsoos Karke Dekh, Main
To Hans Ke Yoon Hi Khud Ko Saza Deta Hun.
Vaade To Hajaaron Kiye The Usne
Mujhse, Kaash Ek Vaada Hi Usne
Nibhaya Hota, Maut Ka
Kisko Pata Ki Kab Aayegi, Par
Kaash Usne Zinda Jalaya Na Hota.
Humne To Bas Itna Hi Seekha Hai
Dosto, Raah-E-Mohabbat Mein Kabhi
Kinara Nahi Milta, Jo Mil Jaye
Iss Raah Par Kabhi Yaar Se, Wo
Zakhm Kabhi Fir Dobara Nahi Silta.
Meri Takdeer Mein Jalna Hai To Jal
Jaunga, Main Koi Tera Vada To Nahi
Jo Badal Jaunga, Mujhko Na Samjhaao
Meri Zindagi Ke Usool, Main Khud
Hi Thhokar Kha Ke Sambhal Jaunga.
Bahut Khoobsurat Ho Tum Phool Ki
Tareh, Khud Ko Duniya Ki Najar
Se Bachaya Karo, Sirf Aankhon
Mein Kaajal Hi Kafi Nahi, Gale
Mein Nimboo-Mirchi Bhi Latkaya Karo.