Categories
Sad SMS
Uske Hontho Pe Kuch Kampata Reh Gaya
Aaate Aaate Mera Naam Sa Rah Gaya,
Wo Saamne Se Hi Gaya Aur Main,
Raaste Ki Tarah Dekhta Reh Gaya,
Jhuth Wale Kahi Se Kahi Badh Gaye
Aur Main Tha Ki Sach Bolta Reh Gya.
Jholi Faila Kar Manga Khuda Se
Unhe, Par Khuda Ne Meri Fariyad
Ko Suna Hi Nahi Maine Pucha
Aakhir Kya Hai Wajah To Kaha Kyu
Chuna Use Jo Tere Liye Bana Hi Nahi.
Ye Shehar Agr Shehar Hai To Itna Sunsan Kyu
Hai Is Shehar Ka Har Fard Preshan Kyu Hai
Is Shehar Ke Log Jise Kehte Hai Maseeha
Wo Shakhs Mere Dard Se Anjaan Kyu Hai
Mitti Se Bana Hai To Ghull Kyu Nahi Jata
Pathar Ka Sanaam Hai To Insan Kiyun Hai.
Never Get Too Attached To Anyone, Unless
They Also Feel The Same Towards You,
Because One Sided Expectations
Kills You From Inside And Lead To
Nothing, But A Broken Heart Forever..!
Naya Pane Ki Chahat Me Purana Choot
Jata Hain, Tujhe Apnau To Mujhse
Zamana Rooth Jata Hain Mohabbat
Padhne Likhne Me Bahut Aasan Hai, Lekin
Ise Nibhane Me Pasina Chooth Jata Hain.
Ye Dunia Mohabbat Ki Dushman Ho Gayi Hai,
Mohabbat Ab Doston Kitaabon Me Reh Gayi
Hai, Wo Din Beet Gaye Jab Log Pyar Me Jaan
Diya Karte The Ab To Husn Ki Pyaasi Dunia Reh
Gayi Hai, Koi Nahi Sunta Kisi Ke Dil Ki Sada,
Sab Ko Dilo Se Khelne Ki Aadat Ho Gayi Hai!
Hum Rote Jab The Tere Liye Apne Ghar Mein
To Kehti Thi, Ki Ye Pyar Tumhara Jhotha Hai,
Ye Pyar Kuch Bhi Nahi Hota Hai, Ab Jab Halat
Badal Gaye Hain Mere Duniya Chahe Mujh
Ko Ab, Tab Kehti Ho Tumko Bhi Mujhse Pyar
Hua Hai Wah Kya Khub Pyar Bhi Tumhara Hai.
Kab Nikalta Hai Koi Dilme Bas Jaane
Ke Baad, Dard Kitna Hota Hai Bichad
Jaane Ke Baad, Jo Paas Hota Hai
Uski Kadar Nahi Hoti, Kami Mehsus
Hoti Hai Uske Dur Jaane Ke Baad..!
Udas Na Baitho Fiza Tang Karegi,
Gujre Hue Lamho Ki Sazaa Tang
Karegi, Kisi Ko Na Lao Dil Ke
Itna Karib, Kyu Ki Uske Jane Ke
Baad Uski Har Adaa Tang Karegi.
Ajeeb Lagti Hai Sham Kabhi Kabhi,
Zindagi Lagti Hai Bejan Kabhi
Kabhi, Samajh Aaye To
Hame Bhi Batana, Kyon Karti
Hai Yaden Pareshan Kabhi Kabhi.
Tanhayi Me Baith Kar Jab Bhi Kahi Gum Ho
Jate Ho, Khud To Rote Ho Dekhne Walo Ko
Bhi Rulate Ho, Tane Maar Ke Kahta Hai
Ye Jahan Sara, Ki Jo Tumhe Apna Nahi
Samajhte Unhe Apni Yaad Kyo Dilate Ho.